World from Ashish Batra’s Eyes

Aaj insaan jaagna hai tujhe, Sabko aaj jaagana hai (A-Z Deshbhakti)

Posted by: ashishbatra on: March 12, 2009

Kuch faltoo Panktiyaan..
Ek din shayad hum bhi kabhi achhe kavi ban payenge.

Aaj achanak yunhi ek khayal aaya aur meri kalam chal gayi
Baad mein ehsaas huya ki meri kalam se ek aur kavita nikal gayi
Chanchal mann bola ki A se Z likho, Par X- pe gaadi atak gayi
Doston likho kaisi lagi yeh kavita aapko, tabhi toh hum kuch sudhar payenge
Ek din shayad hum bhi kabhi ek achhe kavi ban payenge.
Fatafat se pad lijiye tabhi aap wapis hame kuch likh payenge…

Main Kavita..

Aaj insaan jaagna hai tujhe, Sabko aaj jaagana hai

Aaj insaan jaagna hai tujhe, Sabko aaj jaagana hai
Bhai-Chare, pyar muhabbat ka geet aaj tujhe gana hai
Chen chhod ke, Neend chhod ke kaam aisa kar jana hai
Dushmani chhod aaj tujhe sabko dost banana hai
Ek tu jo jaga hai aaj, tujhe auro ko bhi jagana hai

Fanah hona hai toh ho ja, magar paigam aaj yeh de jana hoga
Gaana hai tujhe pyaar ka geet, bin gungunaye nahi mit jaana hoga
Haarna nahi hai Hevaniyat se magar usko tujhe harana hoga
Insan se karna pyaar sabko tujhe sikhlana hoga, Nafrat ki har deewar ko aaj girana hoga
Jai hind ka naara aakhir aaj tujhe sach kar dhikhana hoga

Kab Hindustan hamara Aman chen ka gun Gayega
Lal Khoon shahido ka asal mayno azadi tabhi layega
Mukt hamara Bharat jab Aatankwad se ho payega.
Nafrat jis din chhod jis din insaan Ahinsa ko Aapnayenge
Osama bin laden, Saddam Hussain us din hi duniya se mit payenge
Pyaar ka phool us din sacche mayno mein khil payenge

Qayamat tak ka na karo intzaar Kab who din aayega
Rooh shareer chhod jayegi tab kya tu kar payega
Samjha gaya jo aaj, Jaag gaya agar tu aaj
Tabhi tu es desh mein asal azadi la payega
Uthkar upar tu aaj apne desh ko aur upar utha payega

Vachan dena hoga aaj tujhe, tujhe apna dharam nibhana hoga
Watan se bahut paya hai toone, Aaj Mitti ka karz chukana hoga
X-change ko chhod tujhe, khud ko interchange aaj karna hoga
Ye mat soch esse tu kahan kuch payega, Samjha agar ye baat to
Zameen hi nahi Aasman bhi us din tera ho jayega

Jo tu uper ki Panktiyon ko samajh payega, toh tu Ashish Batra ka sachha dost kehlayega…

Copyright Notice:
Upar ki panktiyaan kahin se churayi nahi gayi hai. Kirpya aap bhi inhe churane ki koshish na kijiye.

Jai Hind
Ashish Batra

3 Responses to "Aaj insaan jaagna hai tujhe, Sabko aaj jaagana hai (A-Z Deshbhakti)"

Nice one bro!

Pranab
http://www.dapon.in

Bhut Wdiya 22….tu taan fatte chakte yaar..mein tenu kadi socheya nai c k you like poems…but very good..carry on…also try to write on THE TOPIC- STOP FEMALE FOTICIDE.you are aware..me trying to spread this msg….

hey, nice poem . i like it

Leave a Reply